my favourite poetry collection
Dil mein chhupa hai kitna dard, bataun kaise
Zindagi se ro-ro kar guzar rahi hai,
Hanskar tumhe dikhaun kaise
Suna hai zindagi chahat ka naam hai
Par ye tanha jevan tum bin, bitaun kaise
Tumhe shayad yakeen na ho
Par mere iss dil mein sirf tumhara hi naam hai
Par dil cheerkar tumhe dikhaun kaise
Maine to apni zindagi se bhi badhkar chaha hai tumhe
Par tumhi kaho binaa Mumtaaz ke Taj Mahal banaun kaise
Tumne diya hai jo dard, usse chhipaun kaise
JAb tera dard mairay dard say wafa karta hay
EK samundar mairi aankhon say baha karta hay
Uski batian mujhay khushbuu ki tarah lagti hien
Phool jaisay koii sehra may khila karta haaaay
Mairay dost ki sirf yehi pehchaan kafiiiiiii hay
WO har shanks ko danistaa khafa rakhta hay
Aur tou koii sabab uski mohabbat kaa nahiiiiiii
Baat itni si hay kay wo mujh say jafa karta hay
JAb khizaan aaye tou lot aaye ga wo bhiiiii
WO baharoon may zara kam hi milaa karta hay
Youn teri tammana mere dil ko dukhaati rahi
Jab bhi muskuraana chahaa aankh bhar aati rahi
Umeedon ne banaa-banna ke tode mere khwaab
Baharon mein dil ki kali khil ke murjhaati rahi..
Thar-rati rahi ye sard palken garm ashqon se..
Aag paani se mil ke dhuven khoob udaati rahi
Na milaa koi saharaa hi na thaama kisi ne haath
Zindagi kadam-kadam pe thokaren khaati rahi.
Ab kuch nahin hai baaki unki chaahat ke sivaa
Aise gaye hain voh ke dil ki har khushi jaati rahi
Honth to dekhe mere tune muskuraate ae sanam
Zara dekh leta aankh bhi jo ashq bahaati rahi
Vo khE kar gaya tha kasmein ise bhuul jaane ki.N
"-----" ko phir bhi uski yaad kyon aati rahi.?
sukuun-e-jaaN ke liye ab maiN duaa kaise karuN
dard jab tuune diya hai to gilaa kaise karuN
aksar lauTaa huun manzil se yahi soch ke maiN
ab muqammal ye safar tere binaa kaise karuN
mere sheroN mein yeh asar kahaaN tha pehle
karz maiN teri jafaaon ka adaa kaise karuN
zindagi bhar ki wafaaoN ka silaa hai yaaro
dil-e-barbaad ke zaKhmoN ki davaa kaise karuN
thi koi mere hi haaThon ki lakeeroN meiN kamii
apni taqdeer ka ab tujhse gilaa kaise karuN
meri nas-nas meiN basaa hai jo lahuu ban ke Dost
uski yaadoN se kinaara maiN bhalaa kaise karuN
ab munaasib hai yahi usko bhulaa duuN bunny
haaN , magar phuul ko khushbuu se judaa kaise karuN
Waqt-e-Dua me ek dua karon, Mein Rab se ek eltija karon, Tu khush rahe, Tu shaad rahe, Tere dil ka aangan abaad rahe, Tu har pal yunhi hansa kare, Tu pholon ki manind khila kare, Teri zindagi me koi gham na ho, Teri aankh kabhi nam na ho, Tujhe kisi se koi gila na ho, Koi dukh tujhe mila na ho, Teri radd kabhi dua na ho, Tere labb pe koi sadaa na ho, Tujhe bin maange wo ataa kare, Teri maaf her ek khata kare!!! (Ameen)
Kitna Pyaar diya usse per mila kuch bhi nahi Itni gehri Chahat ka hasil - o - hasool kuch bhi nahi Woh hum se khafa the to Jaan nikal gayi thi hamari Hum un se khafa hain to un ko malaal kuch bhi nahi Is qadar dukh diye hain na jaane kis khata per Per hum bhi Sabar kargaye aur kiya sawal kuch bhi nahi Us ki khushi main Hansne wale Khaas hain us ke liye Dukh main us ke saath hum, hamari misaal kuch bhi nahi
Hua humpe unhe aitbaar magar zara dher se
Jaaga unke dil main pyar magar zara dher se
Unki aarzoo toh humme thi hii Woh bhi huye hamare talabgar magar zara dher se
Barson raah takte rahe hum unki Rang laya hai apna intezar magar zara dher se
Patjhad ke mausam saare beet gaye Jeevan main aayi hai bahar, magar zara dher se
Jab Seena Gham Se
Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena
Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena
Jab Palkein Karab Se Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena
Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena
Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena
Mainay dariyaa say seekhee hai
Mainay dariyaa say seekhee hai paani kee parda-daari,
Uuper uuper hanstay rehna gehraayi mein rou leina,
Reit bhari inn aankhon mein, aansuu say tum dhou leina,
Koi sookha ped milay tou uss say lipat kar rou leina,
Iss kay baad bohut tanhaa ho jaisay jangal kaa rasta,
Jo bhi tum say pyaar say bolay saath usee kay hou leina,
Kuchh tou reit kee pyaas bujhaao janam janam kee pyaasi hai,
Saahil par chalnay say pehlay apnay paanv bhigo leina,
Rotay kyun ho dil vaalon kee kismat aisee hoti hai,
Saari raat yuun hee jaago gay din niklay tou sou leina,
Kabhi Kabhi mere dil mein khayal aata hai,
Ki zindagi teri zulfon ki narm chaon mein guzarne paati
to shaadab ho bhi sakti thi.
Magar yeh ho na saka, Magar yeh ho na saka,
aur ab yeh aalam hai,
ki tu nahin, tera gham, teri zustuzu bhi nahin.
Guzar rahi hai kuch iss tarah zingadi ki jaise,
Ise kisi ke sahare ki arzoo bhi nahin.
Na koi raah na, na koi manzil, na roshni ka soragh.
Bhatak rahi hai andheron mein zindagi meri,
Inhi andheron mein reh jaaunga khoker,
Main jaanta hoon meri hamnafaz, magar yunhi
Kabhi Kabhi mere dil mein khayal aata hai....
Merey baad tumhey yeh meri yaad dilaane aayeingey
Merey geet tumhaarey paas sahaara paaney aayeingey,
Merey baad tumhey yeh meri yaad dilaane aayeingey,
Meley mein gum ho jaata koi tou ghar aa jaata,
Ham tou ghar mein he bhatkey hain kaisey thor thikaaney aayeingey,
Jinki najar taraste
Jinki najar taraste the meri ek didar ke liye
aaj wo najar churake jane lage main dekhti reha gayi
jinki dil dharak ti thi meri naam se
aaj mujhe tanha chor gaye main tarapti reha gayi
aaj me wo kal ki baat na rahi kahan kho gayi
zeher wo mujhe pilake gaye main khushi se pi gayi...
ye dil bhi dekho pagal hai samjhti hi nahi
wo na raha aaj tera samjha samjha ke main haar gayi....
BIKHRAY AANSOO
Bikhrey aansoo k moti hum piro na sake
Teri yaad me saari raat so na sake
Beh na jaye aansoo main tasvir teri
Bus yahi soch kar hum ro na sake
Wo mil jatey hain kahani bankar
Dil mein bas jatey hain nishani bankar
Jinhe hum rakhte hain apni aakho mein
Kioon nikal jatey hain wo pani bankar Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai
Nigaaho ko teri talaash rehti hai
Tere bina koi kami nahi lekin
Tere bagair tabiyat udaas rehti hai
Samjha na koi dil ki baat ko
Dard duniya ne bin soche hi de diya
Seh gaye jo hum agar dard ko chupke se
To phir humko patthar dil keh diya
Agar hum na hote to gazzal kon kehata
Aapke chehare ko komal kon kehata
Ye to karishma hai mohabbat ka
Varna patthar ko TAJ-MEHAL kon kehata
Dard se dosti ho gayi yaaroo
Zindagi bedard ho gayi yaaroo
Kya huwa jo jal gaya aashiyana hamara
Door tak roshni to ho gayi yaarooo
Duniya Ke Afsaney Main
Har ikk shaks ki iss duniya ke afsaney main
mohabbat ki ikk apni dastan hoti hey
sabh ke dilon pe kisi ke naam ki mohrain hain lagi hotin
har aik ko zaroor kisi na kisi se pyar hota hey
tamam omr kuch pyar ko chupaney main guzar daitey hain
to kuch kholla izhaar kar ke duniya main badnam hotey hain
dil hotey hain kuch tootey hoey zakhmi aur piyasey
aur kahi dilon ke bhag to shadaab hotey hain
paata hey koi duniya main manzil aur khushian sabhi
kuch ki kamai to bas dard aur ghum hi hotey hain
qismat waley to sacha pyar apna paa hi laitey hain
pyar ko haar kar bhi kuch loug jeet jatey hain
guzartey hain omr kuch kisi ko bhool janey main
kisi ki zindagi to sirf kisi ki yaad hoti hey
kuch sonatey hain mohabbat ke kissey namm ankhoon se
aur kuch pyar ki kahani sonatey muskuratey hain
koi kisi ki yaad main tarapta rehta hey
aur kisi ki bewafai main koi neel bahata hey
dekha jaye to zindagi ki kathin rahon main
har koi roswa aur tanha hi hota hey
duniya ke iss wasih afsaney main aafi
har ikk ki apni aik dastan hoti hey
Aansoo
Mere pehloon mein jo Beh nikly Tumhare Aansoo
Ban gaaye Shaam-e-Muhabat ke Sitare Aansoo
Dekh Sakhta hai Bhala Koun ye piyare Aansoo
Meri Aankhon mein na aa jaay tumhare Aansoo
Apna Moo mere grebaan mein chupati Q ho?
Dil ki Dharkan kahein sun lay na tumhary Aansoo
Shamma ka Aks jhalakta hai jo har Aansoo mein
Ban gaay bheegi howi Raat ke Taare Aansoo
Saaf Iqraar Muhabat ho Zubaan se Q,,Kar
Aankh mein aa gay youn Sharam ke Maary Aansoo
Hijr abhi door hai mein paas hoon'Ae Jan-e-Wafa
Q,howy jaaty hai Be-chain Tumhary Aansoon
Subbah Dam dekh na le koi ye Bheega Aanchal
Meri Chughli kahein khaa de na Tumhary Aansoo
KABHI KISI KO MUKAMMAL JAHAN NAHIN MILTA ...
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zameen to kahin aasman nahin milta
jisay bhi dekhiyay woh apnay aap mein goum hai
zuban mili hai magar hum zuban nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta....
bujha saka hai bhala kaun waqt kay shoulay
yeh aisi aag hai jis mein dhuaan nahin milta
teray jahan mein aisa nahin kay pyar na ho
jahan umeed ho iski wahan nahin milta
kahin zameen to kahin aasman nahin milta...
Dil Jale
Dil jalon say dil jalon ka rabta acha laga
Do ghari ki baithnay ka silsila acha laga
********
Koi khoby tu na thi mujh main kay chaha jaaon main
Phir najanay kyun usay chahra mera acha laga
Raat sari jaginay kay baad mujh ko suba dam
Neem baz aankhon say us ka dekhna acha laga
Sar meray sinay par rakh kar us nay sharmatay hoe
Saath jeenay marnay ka vaada kiya acha laga
Apnay chahray pay jo dekay un kay honton kay naqoosh
Mudatton kay baad mujhay aania acha laga
Umer bhat jagay mager rehan us shab ki aasam
Saath un ko bhi jaga kar jagna acha laga
Baandh len
Baandh len haath pe, Sine pe saja len tumko,
Dil mein aata hai, taweez bana len tumko.
Jaise baalon mein koi phool bana karta hai,
Ghar ke guldan mein phoolon se saja len tumko.
Hai tumhare liye kuch aisi aqeedat dil mein,
Apne haathon se duaon se utha len tumko.
Jaan dene ki ijazat bhi nahin dete,
Warna mar jaen abhi, mar ke mana len tumko.
Ab to bas ek hi khwahish hai,
Kisi morr pe tum bikhre hoe mil jaao,
Sambhal len tumko.
masoom muhabbat
masoom muhabbat ka bas itna fasana he
kagaz ki haveli he barish ka zamana he
us paar utarne ki ummeed bahut kam he
kashti bh purani he toofaan ko bhi ana he
Yaad bankar humesha
Yaad bankar humesha apke dil mein aate rahenge,
Yunhi vaqt bevaqt tadpate rahenge,
karo ki umar choti ho humari,
Koi rok lo is behate sailaab ko
Kahin hum ismain beh naa jaaye
Koi rok lo is umadte saawaan ko
Kahin hum ismain bheeg na jaaye
Koi paas aake thaam lo iss haath ko
Kahin hum is bheed main khooo naa jaaye
Koi door jaake pukaar le ek baar to
Kahin hum phir se akeele naa ho jaayee
Koi muskuraa kar samjhaaye hum ko
Kahin humaari aankhein chalak na jaayee
Koi roh kar dekhle hum ko
Kahin hum apni hi maayusi main kho na jaaye
hum saari shab unke deedar mein palkein bichhate rahe,
wo janaab saans ki tarah se aate rahe, jaate rahe.......
mana kiya huzoom ne ki 'na kar ishq itna ki shirkh ho jaye' ,
par hum ishq ko badi shiddat se nibhate rahe.........
toota jo khwab to aansoo bhi jam gaye palko par,
aur hum unke har zulm par muskuraate rahe.........
meri tanha raho mein kaafilo ke maalik,
kyu hum apni nazaro mein aapko paate rahe.........
UMR JALWOON MEIN BASAR HO YEH ZAROORI TO NAHIN
HAR SHAB E GHAM KI SAHAR HO YEH ZAROORI TO NAHIN
NEEND TO DARD K BISTAR PAY BHI AA SAKTY HAI
UN KI AGHOSH MAIN SAR HO YYEH ZAROORI TO NAHIN
SAB KI SAQI PAY NAZAR HO YEH ZAROORI HAI MAGAR
SAB PAY SAQI KI NAZAR HO YEH ZAROORI TO NAHIN
AAG KO KHEL PATANGOON NE SAMAJH RAKKHA HAI
SAB KO ANJAM KA DARR HO YEH ZAROORI TO NAHIN
SHAIKH KARTA HAI IBADAT MAIN KHUDA KO SAJDAY
US K SAJDOON MAIN ASAR HO YEH ZAROORI TO NAHIN
JALWA E HUSN NIGAAHON MEIN BASAANE WAALEY..
DEED KO TERE TARASTE HAIN.. ZAMAANE WAALEY...
JAA CHUKE ISHQ KI TAFSEER BATAANE WAALEY...
RAH GAYE ISHQ KA AFSAANA SUNAANE WAALEY...
TERE GHAR KO BHI KOI AAKE JALAA SAKTA HAI...
SOCH LE PAHLE MERE GHAR KO JALAANE WAALEY...
TERE DAAMAN MEIN RAHEIN DONO JAHAN KI KHUSHIYAN..
APNI ULFAT KA MUJHE JAAM PILANE WAALEY...
HAI DUA MERE KHUDA TUJHKO SALAAMAT RAKHE...
APNE MUFTIN KO KALEJE SE LAGAANE WAALEY....
Aankhen ...
Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen,
Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Karein ,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chhalka Deti Hain Aankhen,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen,
Mana Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,
Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Ura Deti Hain Aankhen
Shabnami Raat suhaani hai, zara laut aao
Aik ghazal tum ko sunaani hai, zara laut aao
Phir nayaa khwaab daikhna hai seher honay tak,
Phir nayee shamaa jalaani hai, zara laut aao..
Naa main barbaad hui hoon, or naa ruswaa tum,
Naa-mukammal see ye kahaani hai, zara laut aao
Tum se mil kar hI main bicchrun, yeh zaruri tou nahi,
Phir bhi ek rasm nibhaani hai, zara Laut Aao
na shikayatyn na gila karey
koi aysa shukhs howa karey
jis ki zulf mujh pe howa kare
jo merey liye hi saja kare
mey kisi lambay safr mey hun
merey lotney ki dua kare
kabhi roye jaye wo bepanah
kabhi be tahasha udaas ho
kabhi chuppke chuppke dabey qadam
merey peechey aa ke hansaa kare
kio aysa shukhs howa kare!
(Poem by AHMED FARAZ)
--------------------------------------------------------
woh ke jin ke liye ruk ruk ke chaley
ab wohi log hamey aabla-pa kehtey hain
koi batlaao ek umar ka bichra mehboob
ittafaqan kahin mil jaye tou kia kehtey hain.
(AHMED FARAZ)
usko chaha bhi tou iqrar na karna aya
kut gyee umar hamey pyar na karna aya
uss ney mangi bhi agar hum se tou judaayi mangi
or hum thay aysey ke inkaar bhi na karna aaya
---------------------------------------------------------
rastey pe na betho, ke hawa tung kare gi
guzrey howey lamhon ki sada tung kare gi
mutt toot kur chaho usay aghaz-e-safr mey
bichdey ga tou her ek ada tung kare gi
----------------------------------------------------------
*"Chand aur Hum", "Dono ka aik sa mukadar", "Wo falak pe tanha", "Hum zameen pe akele", "Woh roshni mange suraj se", "Aur hum... mohtaj kisi ki chahat ke"
In andheron k lye kuch "aftab" mange hein, Dua me hum ne dost kuch "khas" mange hein, "Jab" B manga hE "kuch" Rab se, to "ap" k lye, Kushion k "pal" bE-hisab mangE hein.
arooj e mehfal kia hua, isharay badal gaye
sahar ke anay se pehle, piaray badal gaye
chalay the sab he, le ke sath zaad e safar
rah jo dikhatay the, wo sitaary badal gaye
hawa ka rukh theek, bahao ka be saath tha
utray to tab pata chala, kinaray badal gaye
bekhudi to thee, umeed aur yaqeen be tha
nasheb anay se pehlay, saharay badal gaye
tere rukh badalaty he, raqib be badal gaye
jalnay ki hoi arzoo, to angaaray badal gaye
shehar sada se qaid the, fasil ke hisar main
jo sir utha lete the, wo minaray badal gaye
na ye ankahi hay, na ansuni suna raha hon
muj jese kai diwanay, becharay badal gaye
Ulfat Mein Aksar Aisa Hota HaiY,Ankhein Hasti HaY Aur Dil Rota Hay,Mante Hay Hum Jinhe Manzil Apni, Humsafar Unka Koi Aur Hota HaY,,,Kaun Kehta HaY ishq Me Bas ikraar hota HaY,Kaun Kehta HaY ishq Me Bas inkaar Hota haY,,Tanhai Ko Tum Bebasi Ka Naam Na Do,,,Kyunki Ishq Ka Doosra Naam Hi "INTEZAR" Hota haY,,,Mujhe Dard-E-Dil ki intehaa Maloom hay,Mujhe Dard-E-ishq ki Saza Maloom hay,Mujhe Muskurane Ki Dua Na Do,,,Mujhe Pal Bhar Muskurane ki Saza Maloom Hay... " Yaad E Mazi Azab Hay Ya Rub Cheen Le Mujh Se Hafiza Mera "
Tumko jaante nahi, per chahate hain hum
Din bhar khojte nahi, per sochte hain hum
Tumhare dil mein rehte nahi, per tumhare hain hum
Tumko shayad paayenge nahi, per apnayen ge hum
Jeevan main shayad kabhi mil na paao,
bas bichar jaao ge tum
Shayad humare na ban paao, per muskurao ge tum
Raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
Humein aur koi nahi, bas yaad aao ge tum
Jab koe baat kerta hon tera khial aata hay
jab koe baat kerta hon tera khial aata hay
jabb kuchh sochnay lagta hon tera khial aata hay
meri aankhon meri nazar main tum aisay samaay ho
jabb kuchh dekhnay lagta hon tera khial aata hay
koe bhi kaam mujh se abb tu kia nahi jaata
jaabb kuchh kernay lagta hon tera khial aata hay
main saari raat tujhay sochtay bita deta hon
main jabb bhi sonay lagta hon tera khial aata hay
kabhi jabb hansi aati hay tu dil ronay lagta hay
main jabb bhi hasnay lagta hon tera khial aata hay
main pall pall merta rehta hon nahi abb jia jata
main jabb bhi jeenay lagta hon tera khial aata hay
Zara udas hon lekin zara masroor bhi houn,,,, Tumharey pass houn shayad,, Shayad door bhi houn .... Youn pathrelay raastoun pe chalna shoq nahi mera,,,, Kuch maamla chahat ka hai, kuch majboor bhi houn..... Mohabbat ho gai tum se bas itni si khata hai meri,,,, Mana keh mujrim hon mai, Magar bey qasoor bhi houn .
main lafzon me kuch bhi izhar nahin karti
iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahin karti
chahti hu main tujhe ajj bhi par!
Teri soch me apna wqt bekaar nahin karti
Tamasha na ban jaaye kahi MOHABBAT meri!
isi liye apne dard ko namundaar nahin karti!
jo kuch mila hai usi mei khush hu main!
Tere liye khuda se taqaraar nahin karti!
par kuch to baat hai teri fitrat me zalim!
warna tujhe chahne ki khata bar bar nahin karti!
Dil Mera Unke Liye Bas Khiluna Bankar Reh Gaya,
Vaada Kiya Sath Jine Ka Wo Sapna Bankar Reh Gaya,
Humne Jo Sapne Dekhe The Wo Tut Kar Bikhar Gaya,
Sath Bitaye Lamhe Sab Bas Aansu Bankar Reh Gaya.
Bhari mehfil mein tanha mujhe rehna sikha diya
Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to
Sab kucch zindagi mein chup-chaap sehna sikha diya
Kaun kisko dil me jagha deta hai..
Phed bhi waqt ane par sukhe pattey gira deta hai..
Waqif hai hum duniya k riwazon se..
JAB DIL BHAR JAYE TO HAR KOI BHULA DETA HAI..
Pal pal tarse us pal ke liye
pal aya bhi to kuch pal ke liye
socha tha usse zindagi ka
Ek haseen pal bana lenge
wo pal ruka bhi to ek pal ke liye
Na thi jisko humarey pyar ki kadar.
Ittefak se usi ko chah rahey they hum.
usi deeye ney jalaya hamarey hathon ko,
jisko hawa sey bacha rahey the hum
kaliyo se phool bante hai phoolo se banti nahi kaliyan,
dusmani se ghar ujarte hai par isq me bachti hi nahi duniya
Aap ki palkon per khawab rakh gaya koi,aap ki sanso per naam likh gaya koi,Chaloo wada hai aap se bhool jana humain,Agar hum se acha dost aapko mil jahay koi.
Aapki aankhon main milegi humain panah,Chahe samjho dil lagi ya samjho gunah,Bhaley he humain koi DEEWANA qarar dey,Hum to ho gaye aapki dosti main **FANAA**